Skip to main content

Posts

Showing posts with the label ananya's story

Story of Ananya in her own words - concluding part

Well kai baar Anay se baat karna chaha par wo mujhe avoid karta raha , aisa laga jo aasani se mil jaye uski kimat kabhi samajh nahi aati maine bhi ab usse manana chhod diya . 12 th ka last month tha saare student tour par jaane ke liye plan kar rahe the  mujhse kisi ne nahi puchha tha kyonki in the class Anay hi mera dost tha maine bhi kuchh nahi kaha . 2-3 din baad wo mere paas aaya and usne offer kiya un sab ke saath chalne ko mujhe nahi pata tha ke haan karna chahiye ya na par maine haan kiya main waha comfortable feel karu isliye Anay ne waha Vinay ko bhi bulaya and pyaar bas badta raha (meri side se) . Din nikalte gaye samay bitta gaya schooling bhi khatam ho gai ab Anay mujhse fir kabhi nahi milne wala tha , aaj marksheet milni thi fir kabhi is jagah laut ke nahi aana tha Anay mujhse bhot pyaar se baat kar kar raha tha marks milne ke baad usne fruity pilai and McD le gaya sab kuchh bhot achchha lag raha tha then bas sham hui usne mujhe ghar drop kiya aur chala gaya fi...

Story of Ananya in her own words - Part 2

Well school jana hai maine try kiya ke main Anay se pahle pohch jaun par late ho gai , pure raste bhar khud ko dant ti hui gayi . bus stop par akela Anay tha bhot mood kharab hua usne puchha fair wale din kya hua maine usse sab kuchh bataya aur ye bhi ke uske bro ne mujhe ghar chhoda tab mujhe uska name bataya Vinay aur tab pata laga ke wo mujhse 8 yrs bada hai. Jab age difference suna to aisa laga sab khatam ho gaya is baar mujhe gussa Anay par aa raha tha idiot pahle kyon nahi bataya? Par maine usse kuchh nahi kaha . Bus stop par waiting for the bus. bus to nahi aai par Vinay aaya akela tha pata laga wo bhi Anay ka wait kar raha hai (u know what! main wish kar rahi thi ke Anay na aaye par idiot aa gaya) Vinay ko dekhne ke baad school main jo kuchh Anay ne bataya tha wo main sab bhul gai :D. Vinay aur main ab achchhe dost banne lage. Main jab bhi Anay ko phone karti to pahle 30 min Vinay se baat karti bcz phone ussi ka tha :P . Terminals ke baad 10 days ka off milta hai and 1...

Story of Ananya in her own words

Hi 2004, 14, july Main 15 yr ki thi and tabhi school change kiya tha for the 11 th class main science ki student thi and jab mera first day tha school main to mera ek dost bana (Anay) and mera name Ananya hai to uska roll # just mujhse pahle tha wo mera pehla dost tha new school main. Mera school ghar se kareeb 12 km dur tha to main bus se travel kiya karti thi aksar Anay mujhe bus stop hi milta karta tha. Aaj main Anay se pahle aa gai thi to stop par uska wait kar rahi thi and tabhi Anay aa gaya wo apne elder bro ke saath aata tha bike par maine first time uske bro ko dekha per pura nahi bcz usne helmet pahan rakah tha to maine sirf uski eyes dekhi pata nahi kya hua main bas use dekhti rahi aur wo chala gaya. Mujhe use dekhna achchha laga to ab main daily Anay se pahle aane lagi taki main wo aankhein dubara dekh saku 3-4 months tak wo mujhe daily dikhta tha fir Anay ne bus se aana shuru kar diya. Maine Anay se puchha uske bro ke bare main to usne bataya ke uska accident ho gaya ...